Suno Ae Chaand si Larki

suno..!! aye CHAND si LERKI..!!
Abhi tum TITLIYAN pakro...
Ya phir GURIYON say khelo tumm..
Ya phir masoom si aankhon say..
dhero khuwab dekho tumm..
Faraz-o-Faiz-o-Mohsin ki..
Kitabain mat abhi perhna...
Yeh sub lafzon k saahir hain..
Tumhain uljha kar rakh daingayy..
Tumhain maloom hi kab hay??
Muhabbat kay libaday may..
HAWAS Or HIRS hoti hay..
Yeh insanon ki dunya hay...
Magar insay kahin berh kar...
Yahan wehashi darinday hain..
woh wehshi jin ki ankhon may..
machaltay pyar k peechay...
HAWAS Or HIRS hoti hay..
Abhi kachchi KALI ho tum...
Abhi kantoon say mat kheloo..
Abhi apni hatheli per...
Kisi ka naam mat likho..
Suno aye CHAAND si lerki..!!
Abhi tum TITLIYAN pakroo..!!
________________________


Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!

Comments